Dil mein kuch toh machalta hai aaj,
Soonepan ke andhere ka ek raaz,
Seene se laga ke iski peshaani choom li hai,
Manzilon ke saaye ki aahat dhoondh li hai,
Dooriyaan ab nazdikiyaan,nazdikiyon ka nishaan nahi,
Kyun bekhauff parindey ko iss baat ka ahetaraam nahi?
Aasmaan ke garajne ko apna samajh liya,
Usne toh baras kar humein hai samet diya,
Phir baj pada barsaat mein ik saaz,
Dil mein kuch toh machalta hai aaj,
Lehron ki gehraaiyon ne dikhaaye sapne hazaar,
Pyaar ki lehar toh zindagi mein aati hai ek baar,
De ke le jaati hai sapne beshumaar..bass ek baar...
Dhoondhte hain uss aashiyane ko jisme tha woh timtimata,
Dhadkan mein ghut ti uss rooh ko jo roshni de jata,
Manzil hai kareeb, par raaste ka nishaan nahi,
Kaun apna-paraya, kisise pehchaan nahi,
Lagta hai door parr manzar hai paas,
Dil mein kuch toh machalta hai aaj,
Bulbulon ki numaaiish ka ek andaaz...
Dil mein kuch toh machalta hai aaj..

No comments:
Post a Comment