Sunday, 24 April 2011

Aasmaan Tak..

Aaj baadalon se taaruf karne ko jee chahta hai..

Chand sitaaron se mulakat karne ko jee chahta hai,
Jiske saaye mein hamari saansien nahi thamti,
Uss mukkammal jahan ko choone ko jee chahta hai...

Aaj baadalon se taaruf karne ko jee chahta hai..

Par hamare udne ko betaab hain,
Dil mein khayal jo hain woh nayab hain,
Uss badli ke rang mein dhal jaane ko jee chahta hai..

Aaj baadalon se taaruf karne ko jee chahta hai..

No comments:

Post a Comment