Khwahishon ne dum tod diya,
Ummeedon ne daaman chodh diya,
Bekaraari ka aalam yun badha ki,
Zindagi ne munh mod diya,
Sapne bikhar kar choor ho gaye,
Tammanao ka thikana na raha,
Kya apna aur kya paraya,
Zindagi mein koi fasana na raha,
Ab kaisee awaargi, ab kaisa deewanapan,
Kaisi uljhee saansein aur kaisi yeh madhosh dhadkan?
Mayoosi ki chuppi mein kho kar yeh sab,
Badhate hain mere dil ki tadpan,
Zindagi ki manzil kho gayi,
Raah ki shuruaat mein rusvayee ho gayi,
Saath chalte thea jo kabhi hamare,
Unse hamari preet parayi ho gayi,
Ek sapna dekha tha inn aankhon ne meri,
Sapna toot gaya jab aankhein meri khuli,
Dekha jab aaine mein maine apna chehra,
Nami hi nami thi inn aankhon mein meri,
Khushi kab gham mein tabdeel ho gayee,
Iska ehsaa nahi hua mujhe,
Aaj jab akelepan ki aahkhein dikhti hain,
Toh khauffnak andhera dikhta hai mujhe,
Jaane kab iss dard se mujhe rukhsatee milegi,
Jaane kab meri yaadon ki kashti ko kinara milega,
Jaane kab iss laash ko mazaar naseeb hogi,
Jaane kab iss laash ka janazaa uthega..
Ummeedon ne daaman chodh diya,
Bekaraari ka aalam yun badha ki,
Zindagi ne munh mod diya,
Sapne bikhar kar choor ho gaye,
Tammanao ka thikana na raha,
Kya apna aur kya paraya,
Zindagi mein koi fasana na raha,
Ab kaisee awaargi, ab kaisa deewanapan,
Kaisi uljhee saansein aur kaisi yeh madhosh dhadkan?
Mayoosi ki chuppi mein kho kar yeh sab,
Badhate hain mere dil ki tadpan,
Zindagi ki manzil kho gayi,
Raah ki shuruaat mein rusvayee ho gayi,
Saath chalte thea jo kabhi hamare,
Unse hamari preet parayi ho gayi,
Ek sapna dekha tha inn aankhon ne meri,
Sapna toot gaya jab aankhein meri khuli,
Dekha jab aaine mein maine apna chehra,
Nami hi nami thi inn aankhon mein meri,
Khushi kab gham mein tabdeel ho gayee,
Iska ehsaa nahi hua mujhe,
Aaj jab akelepan ki aahkhein dikhti hain,
Toh khauffnak andhera dikhta hai mujhe,
Jaane kab iss dard se mujhe rukhsatee milegi,
Jaane kab meri yaadon ki kashti ko kinara milega,
Jaane kab iss laash ko mazaar naseeb hogi,
Jaane kab iss laash ka janazaa uthega..
No comments:
Post a Comment